Sunday, September 13, 2009

"KUCCH KAR DIKHANA HAI......."


Jindagi mai kucch kar dikhana hai
jindagi mai ek makam pana hai
kintu, yah toh socho ki
kya hai jo pana hai
kya hai wah path ,
jis pe aage badhte jaana hai
jindagi mai kucch kar dikhana hai

Ho jao satark ab tum
kyunki tumko kucch kar dikhana hai
lakshay nirdharit kar liya hai
agar jindagi mai tumne
toh paa jaoge jo paana hai
jindagi mai kucch kar dikhana hai

mehnat karna tumhara karma hai
fal dena ishwar ka dhram hai
toh bas ek lakshya saamne rakhkar
aage badhte hi jaana hai
jindagi mai kucch kar dikhana......

Saturday, September 12, 2009

ankahi baaten

hello friends ,
welcome to ankahi baaten
This is the blog for those.... who want to share there ankahi baaten...........