Wednesday, August 4, 2010

Haan ye sach hai tumse mohabbat hai..
Ye bhi sach hai tumhari chahat hai..
par meri zindgi mai chahato ki kami to nahi..
Rishte or b hain sirf tum hi to nai..
Apni izzat k is pahlu se aj milwau tumhe..
Me kya hun kesi hun zara batau tumhen..
Me meri maa ki tabiyat me dhala sancha hun…
Apne baba ki ummedo se pur 1 khaka hun…
Apne bhai ki gairat hun janti hun mai..
Mujhse he hai ghar ki izzat manti hu mai..
to behak jau mai ye kabhi mumkin he nai..
K dil wo sb b rakhte hain,bus hum.tum he tou nhi…
Mohabat wo nahi jo rishty bhula deti ho…......
Mohabbat wo ho jo buzurgon ke dua leti ho.....
BY-Sargam...
:)

Friday, May 28, 2010

mai hu beti.....


श्राप समझकर मार दिया
क्यों दुनीया ने ठुकरा दिया
क्या
जुर्म मेरा,क्या गुनाह किया
फ़ीर दोष ये दुनीया इसीलिए है देती
क्योकी में हु एक बेटी
सारे
जुर्म ,दुःख हु सहती सब कुछ सहकर भी
कीसी से कुछ ना कहती
फ़ीर
दोष ये दुनीया इसीलिए है देती
क्योकी में हु एक बेटी
कन्या
भ्रूण हत्या को रोकिये
"क्यूँकी
बेटी होना कोई पाप नहीं
वरदान
है ये अभिश्राप नहीं...."


सरगम......:)

Thursday, May 6, 2010


"HAM BHARATWASI KUCCH AISE HI HOTE HAI"
Jaha sadak k kisi kinare par 2 chair lagakar log restorent bana lete hai....
to kahin futpath par takiya lagakar use hi apna aashiyaana bana lete hai...
Kabhi dusro ka dukh sunkar ro padte hai, to kabhi raste chalti baarat mai shaamil hokar naachne lagte hai...har cohhte se chhote tyouhaar ko badi dhoomdhaam se manate hai...Eed aur Diwali saath mai manate hai...buffet party mai jaakar zameen pe baithkar khate hai..paan ki ghumti par khade hokar criket ka maja lete hai..to kisi dukaan ya gali mai ikatthe hokar duniya ki baaten karte hai...
bade ajib hote hai..par dil k bade saaf aur sharif hote hai...ham bharatvasi kucch aise hi hote hai..

dosto agar aap bhi aisi hi ajib baaten bharatwasiyo k baare mai likhna chahte hai to apne comment k sath post kijiye...Sargam

Sunday, September 13, 2009

"KUCCH KAR DIKHANA HAI......."


Jindagi mai kucch kar dikhana hai
jindagi mai ek makam pana hai
kintu, yah toh socho ki
kya hai jo pana hai
kya hai wah path ,
jis pe aage badhte jaana hai
jindagi mai kucch kar dikhana hai

Ho jao satark ab tum
kyunki tumko kucch kar dikhana hai
lakshay nirdharit kar liya hai
agar jindagi mai tumne
toh paa jaoge jo paana hai
jindagi mai kucch kar dikhana hai

mehnat karna tumhara karma hai
fal dena ishwar ka dhram hai
toh bas ek lakshya saamne rakhkar
aage badhte hi jaana hai
jindagi mai kucch kar dikhana......

Saturday, September 12, 2009

ankahi baaten

hello friends ,
welcome to ankahi baaten
This is the blog for those.... who want to share there ankahi baaten...........